Har kadam har raah ne kuch sikhaya hai
pahadon ki uchaiyon ne
Samundar ki gehrayin ne
Patli galiyon aur chaudhe raston ne
Is safar mein tumne ae zindagi humein Bahut kuch sikhaya hai
Kabhi chadte gaye pahadon par
Kabhi baithe rahe samundar ke kinaron par
Kabhi likhte gaye kalam se dil ka bayan
Kabhi dil mein bahut kuch rakhte gaye hum
Badhte gaye chalte gaye ruke nahi ye kadam
Kaante bhi chubhe chot bhi lagi
Himmat mili aage chalte gaye
Badhte gaye kabhi dheere kabhi tez
Par ruke nahi ye kadam
No comments:
Post a Comment